Karachi: Mulk bhar mein len den ke mamlat mein dollar ki qeemat mein izafay ka silsila badastoor jari hai, jis ke natijay mein rupay ki qeemat mazeed ghair mustahkam hogayi.
Tafseelat ke mutabiq mulki tabadlah mandiyon mein dollar ki qeemat mein izafay ka silsila jari hai. Open market mein dollar 3 rupay mehnga hokar nayi buland satah par pohanch gaya, open market mein dollar 308 rupay mein farokht horaha hai.
State Bank ke mutabiq mangal ke roz interbank mein 59 paise mazeed izafay ke baad dollar 287 rupay 15 paise ki buland satah par band hua hai.
Karobari haftay ke ibtida’i do dino mein dollar ek rupay 33 paise mehnga hua hai jabkeh open market mein amrici currency ki qeemat farokht 308 rupay hai.
State Bank of Pakistan ki samaji rabtay ki website Twitter par jari kardah adad o shumar ke mutabiq rawan haftay ke dosray karobari roz ke doran interbank mein rupay ke muqablay mein amrici dollar ki qeemat mein 59 paise ka izafah dekha gaya.
Khayal rahe ke guzashta roz interbank mein dollar ki qeemat 286.56 rupay record ki gayi thi.